YouTube Subscriber Badhane Ke 6 Jabardast Tips You Don’t know

Agar aapke paas ek youtube channel hai ya ek Youtube Channel start krne ki soch rahe hai toh yah article aapke liye bahut hi helpful sabit ho sakta hai .Iss post me main aapko bataunga ki Youtube Channel par Loyal subscribers ke number kaise badhaye.

Mai ek baat clear kar dena chahta hun ki Youtube par success pane ka koi shortcut tarika nahi hai jaise paisa kamane ka koi shortcut nahi hota. Isliye ye aise tips hai jinki help se aap apne viewers ko subscriber me badal sakte hain.

Youtube Subscriber Kyu Jaruri hai

Aap soch rahe honge ki subscribers kyu jaruri hai youtube channel par. Subscribers kisi channel ke itne Important hote hai jaise kisi computer ke liye Software . Agar aapke channel pr jitney adhik subscriber rahenge aapke videos par utne hi views Milenge . Toh agar aap ek successful youtuber banna chahte hai toh in sabhi tips ko apne channel mein Use kare.

Agar aap apne Youtube Channel ko monetize karna chahte hai to ab aapke channel par 1 saal me 1000 subscriber or 4000 Hours Watch Time hona jaruri hai ek saal me Youtube Partner Program ke hisab se.

Youtube Subscriber kaise badhaye

Tip 1: 30 Sec ka ek channel Trailer banaye

Channel trailer me aap ye bataye ki aapka channel kis type ka hai. Aap iss channel par kya upload karte hai. Aap sochiye ki koi mere channel ko kyu subscribe karega. Jab bhi koi Youtube par aapki Channel open karega or agar usne aapki channel subscribe nahi ki hui hai to Channel Trailer automatic start ho jayega.

Jab aap kuch original aur unique chiz logo ke samne pesh karenge toh logo ko wo chiz jarur pasand aayegi aur log aap se aur umeed karenge. Matlab log aapke channel par dubara aana chahenge.

Toh friend, dhyan rahe aap apna channel ka trailer 30 seconds ka hi banaye jisse viewer aapke channel ko subscribe kare.

Channel Trailer kaise banaye uski jankari

Tip 2: Video Metadata sahi dali

Video ka metadata ka matlab aapke video ka Title, Thumbnail, Description aur Tags (Keywords) ko aisa bnaye jo aapke video ke content (Puri Kahani) ko ek najar me hi show kare. Thumbnail Ke bare me jaane ke Liye yah post padhe.

Toh aapke video ka Title aur Thumbnail aisa hona chahiye jisse viewer ki najar padte hi aapke video ko dekhne ke liye click kare . Aur video dekhne ke baad aapka channel subscribe kare.

Youtube SEO kya hai uski jankari aapko yaha mil jayegi, jisme meta data ko sahi tarah se use karne ke ware me hi bataya hai. 

Read: Badiya Title likhne ke liye Tips

Tip 3: Video ke End me Subscribe Appeal

Jab koi viewer aapka video dekhta hai. Aur usko acha lagta hai aapka video toh wo like toh kar deta hai lekin usko subscribe karna bhul jata hai. Kyon Ki video ke last me toh aapne subscribe karne bola hi nahi. Isliye agar aapko subscribers ki sankhya badhane hai toh aap apne video ke end me subscribe karne ke liye jarur bole. Yeh sach me kafi help krta hai subscribers badhane me. Video Me Annotation bhi add kare Subscribe Button ka.

Tip 4: Apna Youtube Analytics check kare

Aapke channel settings me “Analytics” Ka option hota hai. Isme hum apne audience (Viewer) ke interest ka pta lga skte hai, ki kon hamare videos ko dekhta hai. Aur kaha se dekhta hai.

Aap isme ye bhi dekh skte hai ki aapka video kis Tag ke search se dekha jata hai. Toh aapko ek hisab mil jata hai ki kis type ka video jyada dekha jata hai aur kitne time tk dekha jata hai. Iss tarah se aap apne aage ki videos ke liye planning kar sakte hai.

Tip 5: Similar Youtubers ke sath Partnership Kare

Aap jis topic par bhi apne Youtube Videos banate honge aapko youtube par aur bhi koi aisa Channel mile toh uske sath bhi video banane ka request kare. Wo mana bhi kar sakta hai lekin 2-4 Experiments karne me kya jaata hai.

Agar aapka channel bhi usko pasand aaya toh wah aapke sath kaam karne ke liye ready ho jayega. Ya fir aap ek video bna kar usko send kar dijiye jisme aap apne channel ko promote kar sakte hai. Jisse aapke videos ko uske Channel subscribers bhi dekhenge aur aapke videos ko uske subscribers dekhenge. Iss aapko exchange subscribers ka fayda milega aur aapke subscribers bhi badhne lagenge.

Tip 6: Be Yourself, Do Not Copy

Last aur sbse Important tips ki Kabhi bhi dusro ki copy na kare. Kyuki Youtube videos dekhne wale copy cut channels ko turant Unsubscribe kar dete hain. Isliye aap jis bhi topic par video bana rahe hai usme aapka interest, passion aur knowledge ka hona bahut Important hai.

Agar aapke andar koi baat hai toh aur aap duniya ko dikhana chahta hai toh Duniya jarur dekhegi aur aapke kaam ko Appreciate karegi. Isliye aap kabhi bhi dusro ko copy nahi karo. Copy karne se Youtube se Video or Channel ko bhi delete kar diya jata hai.

Read: YouTube Video Search me lane ke liye basic SEO Tips

Extra Tip: Video ki Playlist banaye or Popular Video ke sath apne Video bhi usme add kare.

Aapko yah post kaisa laga hume jarur btaye . Ya isse related aapka koi bhi question (sawal) ho aap comment kar sakte hai. Hindi Me Help aapka help karne ke liye hamesha Taiyar hai. Aur ha Youtube par hamara channel “Hindi Me Help” Jarur subscribe kare.

Youtube ki or jankari ke liye yaha click kare

Related posts

Understanding Leveling Agents: Key to Smooth & Even Finishes

Are There Waterproof LED Strip Lights Wholesale?

10 Fascinating Facts About Gorlock the Destroyer